Thursday, 21 April 2016

Top 6 Tips Smartphone Ko Slow or Hang Hone se Bachane Ke Liye

Agar jane - anjane me apne cell phone bahut sare app download kar liya hain or phone hang hone laga hai, To Apps to manage karna bhi bahut jaruri hai . Agar in sab jhanjhat se bachna chahte hai to hum bata rahe hai aise kuch tips jise aap follow kare achhe se padh kar. Aaj me lastest 6 tips bata raha hu jise mobile ko hang hone se rok sakte ho.
Aaj kal Android Phone me apps ka jhanjhat bahut jade hai. Apps se kaam aasan ho jata hain, yeh baat thik hai lekin jyada apps install karne se aap ke cellphone jo hang hota hai uska upay kya hai, Fast userexperience ke liye aapke kitne kam apps honge itna accha hain. Is liye hum aaj apke liye latest tips bata rahe hai cell phone ko hang hone se kaise bachaye.

Smartphone hong hone se kaise roke 6 tricks


Latest Post Padhe





1. Apps Downloading Se Bache 

Dosto E-commerce ke badhte yug me company app download karne ki salah deti hain . Aur bahut baar aisa bhi hota hai ke vigyapan bhi apps downloading karne ki salah deta hai. Aise me apko ye socha hai ki konsa app aapke liye accha hai or konsa nahi.

Example ke liye  :- Kisi shopping website ka apps download karte hai to koi faida nahi hota hai. Aap us website par jakar access karke sopping kar sakte hai.
App ko install karne par bewajah phone ki memory kam karega !


2. Phone me adhik Apps Install karna Kyon Jaroori Nahi Hai 

Adhik sankhya me app download karne se aapke cellphone ki speed kam ho jati hai aur operate kane me kayi mints lag jate hai. Agar chahte hain ki aapka phone bina rukawat thik dhang se chalta rahe, Toh uske liye use (istemal) na hone wale apps ko delete kar de. Isi ke sath Live Online Wallpaper or Home Screen rakhne se bhi bachna chahiye.


3. Smartphone Me App Clear Cache or Clear Data Kare Phone Fast Karne Ke Liye

Agar kisi app ko bar-bar istemal karte hain to aap ke phone me us apps ka cache banne lagta hai. Cache ki wajah se smartphone hang hone lagta hain, 
Example:- Aaj ke time me jade log Facebook. Whatsapps. Instagram etc. lagatar apps use karte hai jiske karan phone me cache adhik ho jata hai or koi apps slow open hota hain. Is liye apps ke cache time par delete ya clear chache karna chahiye.
Clear cache karne ke liye sabse pahle aapko phone me setting me jakar "Apps" par click kare iske bad "Clear cache" kare. 
Iske liye play store me clear cache ke liye apps download kar sakte hain. Kyon Ki ki apps turant hi cache delete kar deta hain.

Jaise ki aap screenshot photo me dekh sakte hai clear data or clear cache ka option diya or cache 5.83MB hain hum jitna use karenge ye thik hota jayega. To aap samay samay par karte rahe memory ko saf. Free me internet kaise use karte hai janne ke liye click kare
Note:-  Clear data karne par agar apne kisi app me login kiya hai to khata ho jayega apko phir se login karna hoga lekin ye hai aisa karne se mobile fast chalta hai or application jaldi open hoga.


4. Android Phone se Animation Hataye 

Phone me fant style , screen style video wallpaper, live wallpaper.etc use karte hai apne cell phone ko naya rang roop dene ke liye animation app hote hai. Is tarah ke app ko download karne ke baad animation hamesha activate mode mein rehte hain or phone ke data ko istemal karte hain. Agar aap smartphone experience badhane ke alawa iska koi istemal bhi nahi hai . Is liye animation mode ko hamesha Disabled rakhe.

Ye Kuch Top Post Pahe


5. Third-Party  Apps Launcher Download Na Kare

Smartphone me company ki traf se kuch app pry-loaded hote hai. Inme se kuch apps hataya nahi ja sakta company ke user's internet me naye vivet. layout or screen jaise features hote hain. Yeh function upyogi hote hai , Lekin phone ko hang bhi karte hain. To is liye phone me third-party app launcher download na kare.

6. Phone se Preloaded Apps Ko Remove Kare

Naya handset kharidne par bahut aise app hote hai jiska hum use nahi karte hai phir bhi diya rehta hai.
Example:- Indian railway. Net Banking. Direction Service.Food Jaction.Game. or bhi apps pahle se download rahte hai.
Lekin adhiktar log in apps ko ek bar bhi use nahi karte hai to agar aap bhi unme se ek hai. To Preloaded app ko hata de. Aisa karne se phone ki memory badhane ke sath sath hi phone speed badh jayega.



Post Summary 

Jaisa ki dosto maine is post me apko bataya hai kaise apne smartphone android phone ko hang hone se rok sakte hai. Aaj ke time me har kisi ke paas smartphone hai lekin jo pehle ka phone hai unme RAM bahut kam diya rehta hai or jade app install karne par mobile slow or hang karne lagta hai. Is liye aap bhi unme se ek hai to in 6 tricks ko follow karte huye android phone ko hang hone se bacha sakte ho.
Main umeed karta hu apko ye idea mil gya hoga mobile ko hang hone se kaise bachaya ja sakta hai.
Agar apko koi problem computer .internet or technology sambandhit koi sawal hai uska jawab chahiye to comment karke puch sakte hai aap ki jaldi hi help kiya jayega.

?????? ?? ???  

No comments:

Post a Comment